dhuan uDati hui dhimi dhimi barish hai
dhuāñ uḌātī huī dhīmī dhīmī bārish hai
havā kī andhī savārī pe andhī bārish hai
hamāre gaañv ke rastoñ kī kachchī miTTī par
phisal rahe haiñ qadam kitnī gandī bārish hai
zarā sī khol ke khiḌkī nazar to dauḌāo
dikhā.ī detī nahīñ achchhī-ḳhāsī bārish hai
nikalte vaqt uThā.ī nahīñ ga.ī chhatrī
mirī sahelī mujhe kah rahī thī bārish hai
hamāre aane meñ tāḳhīr ho bhī saktī hai
ye dekh kar yahī lagtā hai jitnī bārish hai
muzākarāt zamīñ kar rahī hai dhuup ke saath
kahīñ pe dekhī sunī tum ne itnī bārish hai
tamām sabz ruteñ aa ke kar rahī haiñ salām
hamāre shahr meñ mausam kī pahlī bārish hai
ThiThurte paanī meñ sāñsoñ kā nam milāte hue
nadī meñ chāñd ke ham-rah nahātī bārish hai
namī usī kī milī hai mahakte phūloñ ko
kiran kiran meñ ghulī jo gulābī bārish hai
maiñ film ke kisī manzar pe baat kar rahī huuñ
dikhā.ī jā rahī jis meñ barastī bārish hai
tamām ḳhvāb mire mil ga.e haiñ miTTī meñ
tamām shab mirī āñkhoñ meñ jaagī bārish hai
havā kī shah pe hī phirtī hai dandanātī huī
hamāre chāroñ taraf sar-phirī sī bārish hai
maiñ gaaḌī rok ke selfī banā rahī huuñ 'sahar'
magar abhī bhī yahāñ halkī halkī bārish hai
dhuan uDati hui dhimi dhimi barish hai
hawa ki andhi sawari pe andhi barish hai
hamare ganw ke raston ki kachchi miTTi par
phisal rahe hain qadam kitni gandi barish hai
zara si khol ke khiDki nazar to dauDao
dikhai deti nahin achchhi-KHasi barish hai
nikalte waqt uThai nahin gai chhatri
meri saheli mujhe kah rahi thi barish hai
hamare aane mein taKHir ho bhi sakti hai
ye dekh kar yahi lagta hai jitni barish hai
muzakaraat zamin kar rahi hai dhup ke sath
kahin pe dekhi suni tum ne itni barish hai
tamam sabz ruten aa ke kar rahi hain salam
hamare shahr mein mausam ki pahli barish hai
ThiThurte pani mein sanson ka nam milate hue
nadi mein chand ke ham-rah nahati barish hai
nami usi ki mili hai mahakte phulon ko
kiran kiran mein ghuli jo gulabi barish hai
main film ke kisi manzar pe baat kar rahi hun
dikhai ja rahi jis mein barasti barish hai
tamam KHwab mere mil gae hain miTTi mein
tamam shab meri aankhon mein jagi barish hai
hawa ki shah pe hi phirti hai dandanati hui
hamare chaaron taraf sar-phiri si barish hai
main gaDi rok ke selfi bana rahi hun 'sahar'
magar abhi bhi yahan halki halki barish hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.