Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

abhi to aur bhi din barishon ke aane the

Mohammad Alvi

abhi to aur bhi din barishon ke aane the

Mohammad Alvi

MORE BYMohammad Alvi

    abhī to aur bhī din bārishoñ ke aane the

    karishme saare use aaj dikhāne the

    hiqārateñ milīñ ham ko zañg-ālūda

    diloñ meñ yuuñ to ka.ī qism ke ḳhazāne the

    ye dasht tel pyāsā na thā ḳhudā-vandā

    yahāñ to chaar chhe dariyā hameñ bahāne the

    kisī se koī ta.alluq rahā na ho jaise

    kuchh is tarah se guzarte hue zamāne the

    parinde duur fazāoñ meñ kho ga.e 'alvī'

    ujaaḌ ujaaḌ daraḳhtoñ pe āshiyāne the

    abhi to aur bhi din barishon ke aane the

    karishme sare use aaj hi dikhane the

    hiqaraten hi milin hum ko zang-aluda

    dilon mein yun to kai qism ke KHazane the

    ye dasht tel ka pyasa na tha KHuda-wanda

    yahan to chaar chhe dariya hamein bahane the

    kisi se koi talluq raha na ho jaise

    kuchh is tarah se guzarte hue zamane the

    parinde dur fazaon mein kho gae 'alwi'

    ujaD ujaD daraKHton pe aashiyane the

    RECITATIONS

    Atir Ali Syed

    Atir Ali Syed,

    Atir Ali Syed

    abhii to aur bhii din baarisho.n ke aane the Atir Ali Syed

    Source :
    • Book : Rat Idhar Udhar Roashan (Pg. 303)

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now