baiThe baiThe kaisa dil ghabra jata hai
baiThe baiThe kaisā dil ghabrā jaatā hai
jaane vāloñ kā jaanā yaad aa jaatā hai
bāt-chīt meñ jis kī ravānī masal huī
ek naam lete meñ kuchh ruk sā jaatā hai
hañstī-bastī rāhoñ kā ḳhush-bāsh musāfir
rozī kī bhaTTī kā īñdhan ban jaatā hai
daftar mansab donoñ zehn ko khā lete haiñ
ghar vāloñ kī qismat meñ tan rah jaatā hai
ab is ghar kī ābādī mehmānoñ par hai
koī aa jaa.e to vaqt guzar jaatā hai
baiThe baiThe kaisa dil ghabra jata hai
jaane walon ka jaana yaad aa jata hai
baat-chit mein jis ki rawani masal hui
ek nam lete mein kuchh ruk sa jata hai
hansti-basti rahon ka KHush-bash musafir
rozi ki bhaTTi ka indhan ban jata hai
daftar mansab donon zehn ko kha lete hain
ghar walon ki qismat mein tan rah jata hai
ab is ghar ki aabaadi mehmanon par hai
koi aa jae to waqt guzar jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.