bahut din se koi manzar banana chahte hain hum
bahut din se koī manzar banānā chāhte haiñ ham
ki jo kuchh kah nahīñ sakte dikhānā chāhte haiñ ham
hamāre shahr meñ ab har taraf vahshat barastī hai
so ab jañgal meñ apnā ghar banānā chāhte haiñ ham
hameñ anjām bhī ma.alūm hai lekin na jaane kyuuñ
charāġhoñ ko havāoñ se bachānā chāhte haiñ ham
na jaane kyuuñ gale meñ chīḳh ban jaatī haiñ āvāzeñ
kabhī tanhā.ī meñ jab gungunānā chāhte haiñ ham
koī āsāñ nahīñ sachchā.ī se āñkheñ milā lenā
magar sachchā.ī se āñkheñ milānā chāhte haiñ ham
kabhī bhūle se bhī ab yaad bhī aatī nahīñ jin kī
vahī qisse zamāne ko sunānā chāhte haiñ ham
bahut din se koi manzar banana chahte hain hum
ki jo kuchh kah nahin sakte dikhana chahte hain hum
hamare shahr mein ab har taraf wahshat barasti hai
so ab jangal mein apna ghar banana chahte hain hum
hamein anjam bhi malum hai lekin na jaane kyun
charaghon ko hawaon se bachana chahte hain hum
na jaane kyun gale mein chiKH ban jati hain aawazen
kabhi tanhai mein jab gungunana chahte hain hum
koi aasan nahin sachchai se aankhen mila lena
magar sachchai se aankhen milana chahte hain hum
kabhi bhule se bhi ab yaad bhi aati nahin jin ki
wahi qisse zamane ko sunana chahte hain hum
- Book : Mom (Pg. 72)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.