baDha jab uski tawajjoh ka silsila kuchh aur
baḌhā jab us kī tavajjoh kā silsila kuchh aur
ḳhushī se phail gayā ġham kā dā.era kuchh aur
natīja dekh ke maanā mire masīhā ne
kuchh aur dard thā merā huī davā kuchh aur
maiñ apne aap ko kis aa.ine meñ pahchānūñ
ki ek 'aks mirā kuchh hai dūsrā kuchh aur
agar kahīñ koī dīvār sāmne aa.ī
buland ho gayā paanī kā hausla kuchh aur
kuchh aise dekhtā hai vo mujhe ki lagtā hai
dikhā rahā hai mujhe merā aa.ina kuchh aur
natīja dekhne sunñe ke baa'd ye niklā
bayān-e-vāqi.a kuchh amr-e-vāqi.a kuchh aur
guzar muhāl na hotā hamārā bastī meñ
jo uThtīñ chhoḌ ke dīvāreñ rāsta kuchh aur
baDha jab us ki tawajjoh ka silsila kuchh aur
KHushi se phail gaya gham ka daera kuchh aur
natija dekh ke mana mere masiha ne
kuchh aur dard tha mera hui dawa kuchh aur
main apne aap ko kis aaine mein pahchanun
ki ek 'aks mera kuchh hai dusra kuchh aur
agar kahin koi diwar samne aai
buland ho gaya pani ka hausla kuchh aur
kuchh aise dekhta hai wo mujhe ki lagta hai
dikha raha hai mujhe mera aaina kuchh aur
natija dekhne sunne ke ba'd ye nikla
bayan-e-waqia kuchh amr-e-waqia kuchh aur
guzar muhaal na hota hamara basti mein
jo uThtin chhoD ke diwaren rasta kuchh aur
- Book : Kulliyat-e-Rahi (Pg. 409)
- Author : Ghulam Murtaza Rahi
- Publication : Educational Publishing House (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.