badan par nai fasl aane lagi
badan par na.ī fasl aane lagī
havā dil meñ ḳhvāhish jagāne lagī
koī ḳhud-kushī kī taraf chal diyā
udāsī kī mehnat Thikāne lagī
jo chup-chāp rahtī thī dīvār par
vo tasvīr bāteñ banāne lagī
ḳhayāloñ ke tārīk khañDarāt meñ
ḳhamoshī ġhazal gungunāne lagī
zarā der baiThe the tanhā.ī meñ
tirī yaad āñkheñ dukhāne lagī
badan par nai fasl aane lagi
hawa dil mein KHwahish jagane lagi
koi KHud-kushi ki taraf chal diya
udasi ki mehnat Thikane lagi
jo chup-chap rahti thi diwar par
wo taswir baaten banane lagi
KHayalon ke tarik khanDaraat mein
KHamoshi ghazal gungunane lagi
zara der baiThe the tanhai mein
teri yaad aankhen dukhane lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.