baad suraj ke bhi hum ko zindagi achchhi lagi
ba.ad sūraj ke bhī ham ko zindagī achchhī lagī
shab kī fitrat meñ thī jo ik bekalī achchhī lagī
pahle pahle kuchh hirāsāñ se the ham tanhā.ī se
chāñd taare aa ga.e phir ḳhāmushī achchhī lagī
bandishoñ ko toḌne kī koshisheñ kartī huī
sar paTaktī lahr terī ājizī achchhī lagī
raat bhar shabnam ke hāthoñ ban-sañvar jaane ke ba.ad
phuul ke chehre pe bikhrī tāzgī achchhī lagī
us ke sheroñ meñ mohabbat ke sivā kuchh bhī na thā
par 'alīnā' ko yahī dīvāngī achchhī lagī
baad suraj ke bhi hum ko zindagi achchhi lagi
shab ki fitrat mein thi jo ek bekali achchhi lagi
pahle pahle kuchh hirasan se the hum tanhai se
chand tare aa gae phir KHamushi achchhi lagi
bandishon ko toDne ki koshishen karti hui
sar paTakti lahr teri aajizi achchhi lagi
raat bhar shabnam ke hathon ban-sanwar jaane ke baad
phul ke chehre pe bikhri tazgi achchhi lagi
us ke sheron mein mohabbat ke siwa kuchh bhi na tha
par 'alina' ko yahi diwangi achchhi lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.