azmat-e-fan ke parastar hain hum
azmat-e-fan ke parastār haiñ ham
ye ḳhatā hai to ḳhatā-vār haiñ ham
johd kī dhuup hai īmān apnā
munkir-e-sāya-e-dīvār haiñ ham
jānte haiñ tire ġham kī qīmat
mānte haiñ ki gunahgār haiñ ham
us ko chāhā thā kabhī ḳhud kī tarah
aaj ḳhud apne talabgār haiñ ham
ahl-e-duniyā se shikāyat na rahī
vo bhī kahte haiñ ziyāñ-kār haiñ ham
koī manzil hai na jaada 'mohsin'
sūrat-e-gardish-e-parkār haiñ ham
azmat-e-fan ke parastar hain hum
ye KHata hai to KHata-war hain hum
johd ki dhup hai iman apna
munkir-e-saya-e-diwar hain hum
jaante hain tere gham ki qimat
mante hain ki gunahgar hain hum
us ko chaha tha kabhi KHud ki tarah
aaj KHud apne talabgar hain hum
ahl-e-duniya se shikayat na rahi
wo bhi kahte hain ziyan-kar hain hum
koi manzil hai na jada 'mohsin'
surat-e-gardish-e-parkar hain hum
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 320)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.