azal se jo musalsal hai rawan wo karwan hum hain
azal se jo musalsal hai ravāñ vo kārvāñ ham haiñ
jo badle dam-ba-dam tāham hai qaa.em vo jahāñ ham haiñ
simaTne par agar aa.eñ to ik tan meñ simaT jaa.eñ
lageñ jab phailne to vus.at-e-kaun-o-makāñ ham haiñ
gila kyā jo nikālā ādam-o-havvā ko jannat se
usī ke aaj sadqe nāzim-e-bāġh-e-jahāñ ham haiñ
hue kab āshnā ham apnī hastī kī haqīqat se
hamārā raaz hai aisā ki ham se bhī nihāñ ham haiñ
jinheñ ham bulbulā paanī kā dikhte haiñ kaho un se
nazar ho dekhne vaalī to bahr-e-be-karāñ ham haiñ
ye sūraj chāñd taare sab chaleñ rāh-e-muayyan par
chuneñ ham raah ḳhud apnī ḳhud apne rāh-dāñ ham haiñ
yahāñ har aadmī masrūf hai apnī masāfat meñ
ruke pal-bhar koī to pūchh leñ us se kahāñ ham haiñ
azal se jo musalsal hai rawan wo karwan hum hain
jo badle dam-ba-dam taham hai qaem wo jahan hum hain
simaTne par agar aaen to ek tan mein simaT jaen
lagen jab phailne to wusat-e-kaun-o-makan hum hain
gila kya jo nikala aadam-o-hawwa ko jannat se
usi ke aaj sadqe nazim-e-bagh-e-jahan hum hain
hue kab aashna hum apni hasti ki haqiqat se
hamara raaz hai aisa ki hum se bhi nihan hum hain
jinhen hum bulbula pani ka dikhte hain kaho un se
nazar ho dekhne wali to bahr-e-be-karan hum hain
ye suraj chand tare sab chalen rah-e-muayyan par
chunen hum rah KHud apni KHud apne rah-dan hum hain
yahan har aadmi masruf hai apni masafat mein
ruke pal-bhar koi to puchh len us se kahan hum hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.