azab-e-did mein aankhen lahu lahu kar ke
azāb-e-dīd meñ āñkheñ lahū lahū kar ke
maiñ sharmsār huā terī justujū kar ke
khañDar kī tah se burīda-badan saroñ ke sivā
milā na kuchh bhī ḳhazānoñ kī aarzū kar ke
sunā hai shahr meñ zaḳhmī diloñ kā mela hai
chaleñge ham bhī magar pairahan rafū kar ke
masāfat-e-shab-e-hijrāñ ke baa'd bhed khulā
havā dukhī hai charāġhoñ kī aabrū kar ke
zamīñ kī pyaas usī ke lahū ko chaaT ga.ī
vo ḳhush huā thā samundar ko aabjū kar ke
ye kis ne ham se lahū kā ḳhirāj phir māñgā
abhī to so.e the maqtal ko surḳh-rū kar ke
julūs-e-ahl-e-vafā kis ke dar pe pahuñchā hai
nishān-e-tauq-e-vafā zīnat-e-gulū kar ke
ujaaḌ rut ko gulābī banā.e rakhtī hai
hamārī aañkh tirī diid se vuzū kar ke
koī to habs-e-havā se ye pūchhtā 'mohsin'
milā hai kyā use kaliyoñ ko be-numū kar ke
azab-e-did mein aankhen lahu lahu kar ke
main sharmsar hua teri justuju kar ke
khanDar ki tah se burida-badan saron ke siwa
mila na kuchh bhi KHazanon ki aarzu kar ke
suna hai shahr mein zaKHmi dilon ka mela hai
chalenge hum bhi magar pairahan rafu kar ke
masafat-e-shab-e-hijran ke ba'd bhed khula
hawa dukhi hai charaghon ki aabru kar ke
zamin ki pyas usi ke lahu ko chaT gai
wo KHush hua tha samundar ko aabju kar ke
ye kis ne hum se lahu ka KHiraj phir manga
abhi to soe the maqtal ko surKH-ru kar ke
julus-e-ahl-e-wafa kis ke dar pe pahuncha hai
nishan-e-tauq-e-wafa zinat-e-gulu kar ke
ujaD rut ko gulabi banae rakhti hai
hamari aankh teri did se wuzu kar ke
koi to habs-e-hawa se ye puchhta 'mohsin'
mila hai kya use kaliyon ko be-numu kar ke
- Book : Kulliyat-e-mohsin (Pg. 728)
- Author : Mohsin Naqvi
- Publication : Mavra Publishers (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.