kise KHabar hai ki umr bas us pe ghaur karne mein kaT rahi hai
kise KHabar hai ki umr bas us pe ghaur karne mein kaT rahi hai
Tahzeeb Hafi
MORE BYTahzeeb Hafi
kise ḳhabar hai ki umr bas us pe ġhaur karne meñ kaT rahī hai
ki ye udāsī hamāre jismoñ se kis ḳhushī meñ lipaT rahī hai
ajiib dukh hai ham us ke ho kar bhī us ko chhūne se Dar rahe haiñ
ajiib dukh hai hamāre hisse kī aag auroñ meñ baT rahī hai
maiñ us ko har roz bas yahī ek jhuuT sunñe ko phone kartā
suno yahāñ koī mas.ala hai tumhārī āvāz kaT rahī hai
mujh aise peḌoñ ke sūkhne aur sabz hone se kyā kisī ko
ye bel shāyad kisī musībat meñ hai jo mujh se lipaT rahī hai
ye vaqt aane pe apnī aulād apne ajdād bech degī
jo fauj dushman ko apnā sālār girvī rakh kar palaT rahī hai
so is ta'alluq meñ jo ġhalat-fahmiyāñ thiiñ ab duur ho rahī haiñ
rukī huī gāḌiyoñ ke chalne kā vaqt hai dhundh chhaT rahī hai
kise KHabar hai ki umr bas us pe ghaur karne mein kaT rahi hai
ki ye udasi hamare jismon se kis KHushi mein lipaT rahi hai
ajib dukh hai hum us ke ho kar bhi us ko chhune se Dar rahe hain
ajib dukh hai hamare hisse ki aag auron mein baT rahi hai
main us ko har roz bas yahi ek jhuT sunne ko phone karta
suno yahan koi masala hai tumhaari aawaz kaT rahi hai
mujh aise peDon ke sukhne aur sabz hone se kya kisi ko
ye bel shayad kisi musibat mein hai jo mujh se lipaT rahi hai
ye waqt aane pe apni aulad apne ajdad bech degi
jo fauj dushman ko apna salar girwi rakh kar palaT rahi hai
so is ta'alluq mein jo ghalat-fahmiyan thin ab dur ho rahi hain
ruki hui gaDiyon ke chalne ka waqt hai dhundh chhaT rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.