asl haalat ka bayan zahir ke sanchon mein nahin
asl hālat kā bayāñ zāhir ke sāñchoñ meñ nahīñ
baat jo dil meñ hai mere mere lafzoñ meñ nahīñ
ik zamāna thā ki ik duniyā mire hamrāh thī
aur ab dekhūñ to rasta bhī nigāhoñ meñ nahīñ
koī āseb-e-balā hai shahr par chhāyā huā
bū-e-ādam-zād tak ḳhālī makānoñ meñ nahīñ
rafta rafta sab hamārī raah par aate ga.e
baat hai jo ham buroñ meñ achchhe achchhoñ meñ nahīñ
apne hī dam se charāġhāñ hai vagarna 'āftāb'
ik sitāra bhī mirī vīrān shāmoñ meñ nahīñ
asl haalat ka bayan zahir ke sanchon mein nahin
baat jo dil mein hai mere mere lafzon mein nahin
ek zamana tha ki ek duniya mere hamrah thi
aur ab dekhun to rasta bhi nigahon mein nahin
koi aaseb-e-bala hai shahr par chhaya hua
bu-e-adam-zad tak KHali makanon mein nahin
rafta rafta sab hamari rah par aate gae
baat hai jo hum buron mein achchhe achchhon mein nahin
apne hi dam se charaghan hai wagarna 'aftab'
ek sitara bhi meri viran shamon mein nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.