apni Thokar se jo ek war kiya hai maine
apnī Thokar se jo ik vaar kiyā hai maiñ ne
dekh kyā rāsta hamvār kiyā hai maiñ ne
bhurbhure jism kī miTTī ne bahut ḳhvār kiyā
apne hone pe jab isrār kiyā hai maiñ ne
maiñ yūñhī aayā nahīñ bāġh-e-adan kī jānib
ek sahrā thā jise paar kiyā hai maiñ ne
ai shab-e-ḳhvāb ye hangām-e-tahayyur kyā hai
ḳhud ko gar niiñd se bedār kiyā hai maiñ ne
vo koī aur na thā mere alāva 'gauhar'
paañv rakh kar jise mismār kiyā hai maiñ ne
apni Thokar se jo ek war kiya hai main ne
dekh kya rasta hamwar kiya hai main ne
bhurbhure jism ki miTTi ne bahut KHwar kiya
apne hone pe jab israr kiya hai main ne
main yunhi aaya nahin bagh-e-adan ki jaanib
ek sahra tha jise par kiya hai main ne
ai shab-e-KHwab ye hangam-e-tahayyur kya hai
KHud ko gar nind se bedar kiya hai main ne
wo koi aur na tha mere alawa 'gauhar'
panw rakh kar jise mismar kiya hai main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.