apni sari kawishon ko raegan maine kiya
apnī saarī kāvishoñ ko rā.egāñ maiñ ne kiyā
mere andar jo na thā us ko bayāñ maiñ ne kiyā
sar pe jab saayā rahā koī na daurān-e-safar
us kī yādoñ ko phir apnā sā.ebāñ maiñ ne kiyā
ab yahāñ par saañs tak lenā mujhe dushvār hai
kis tamannā par zamīñ ko āsmāñ maiñ ne kiyā
lamha lamha vaqt ke hāthoñ kiyā ḳhud ko supurd
sab gañvā baiThā to phir fikr-e-ziyāñ maiñ ne kiyā
jab na us ke aur mere darmiyāñ kuchh bhī rahā
ḳhud ko hī phir us ke apne darmiyāñ maiñ ne kiyā
donoñ chup the zor se chaltī havā ke sāmne
phir achānak ḳhushk pattoñ ko zabāñ maiñ ne kiyā
apni sari kawishon ko raegan main ne kiya
mere andar jo na tha us ko bayan main ne kiya
sar pe jab saya raha koi na dauran-e-safar
us ki yaadon ko phir apna saeban main ne kiya
ab yahan par sans tak lena mujhe dushwar hai
kis tamanna par zamin ko aasman main ne kiya
lamha lamha waqt ke hathon kiya KHud ko supurd
sab ganwa baiTha to phir fikr-e-ziyan main ne kiya
jab na us ke aur mere darmiyan kuchh bhi raha
KHud ko hi phir us ke apne darmiyan main ne kiya
donon chup the zor se chalti hawa ke samne
phir achanak KHushk patton ko zaban main ne kiya
- Book : Aab-e-Sharab (Pg. 54)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.