apni miTTi ko sar-afraaz nahin kar sakte
apnī miTTī ko sar-afrāz nahīñ kar sakte
ye dar-o-bām to parvāz nahīñ kar sakte
ālam-e-ḳhvāhish-o-tarġhīb meñ rahte haiñ magar
terī chāhat ko subū-tāzh nahīñ kar sakte
husn ko husn banāne meñ mirā haath bhī hai
aap mujh ko nazar-andāz nahīñ kar sakte
shahr meñ ek zarā se kisī ghar kī ḳhātir
apne sahrāoñ ko nārāz nahīñ kar sakte
ishq vo kār-e-musalsal hai ki ham apne liye
ek lamha bhī pas-andāz nahīñ kar sakte
apni miTTi ko sar-afraaz nahin kar sakte
ye dar-o-baam to parwaz nahin kar sakte
aalam-e-KHwahish-o-targhib mein rahte hain magar
teri chahat ko subu-tazh nahin kar sakte
husn ko husn banane mein mera hath bhi hai
aap mujh ko nazar-andaz nahin kar sakte
shahr mein ek zara se kisi ghar ki KHatir
apne sahraon ko naraaz nahin kar sakte
ishq wo kar-e-musalsal hai ki hum apne liye
ek lamha bhi pas-andaz nahin kar sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.