apni jaisi hi kisi shakl mein Dhaalenge tumhein
apnī jaisī hī kisī shakl meñ Dhāleñge tumheñ
ham bigaḌ jā.eñge itnā kī banā leñge tumheñ
jaane kyā kuchh ho chhupā tum meñ mohabbat ke sivā
ham tasallī ke liye phir se khagāleñge tumheñ
ham ne sochā hai ki is baar junūñ karte hue
ḳhud ko is tarah se kho deñge ki pā leñge tumheñ
mujh meñ paivast ho tum yuuñ ki zamāne vaale
merī miTTī se mire ba.ad nikāleñge tumheñ
apni jaisi hi kisi shakl mein Dhaalenge tumhein
hum bigaD jaenge itna ki bana lenge tumhein
jaane kya kuchh ho chhupa tum mein mohabbat ke siwa
hum tasalli ke liye phir se khagalenge tumhein
hum ne socha hai ki is bar junun karte hue
KHud ko is tarah se kho denge ki pa lenge tumhein
mujh mein paiwast ho tum yun ki zamane wale
meri miTTi se mere baad nikalenge tumhein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.