apne pahle makan tak ho aaun
apne pahle makān tak ho aa.uuñ
maiñ zarā āsmān tak ho aa.uuñ
koī paikar pukārtā hai mujhe
sāmne kī chaTān tak ho aa.uuñ
jhaḌtā jaatā hai jism roz-ba-roz
kūza-gar kī dukān tak ho aa.uuñ
sehr-e-tashkīk! ab rihā.ī de
maiñ koī dam gumān tak ho aa.uuñ
vaqt ab dastaras meñ hai 'aḳhtar'
ab to maiñ jis jahān tak ho aa.uuñ
apne pahle makan tak ho aaun
main zara aasman tak ho aaun
koi paikar pukarta hai mujhe
samne ki chaTan tak ho aaun
jhaDta jata hai jism roz-ba-roz
kuza-gar ki dukan tak ho aaun
sehr-e-tashkik! ab rihai de
main koi dam guman tak ho aaun
waqt ab dastaras mein hai 'aKHtar'
ab to main jis jahan tak ho aaun
- Book : Pakistani Adab (Pg. 306)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.