apne kirdar ki pahchan badal dete hain
apne kirdār kī pahchān badal dete haiñ
aise kuchh log haiñ īmān badal dete haiñ
jin kī takmīl kī sūrat nahīñ niklī ab tak
aaj ham dil ke vo armān badal dete haiñ
saath dete haiñ jo ḳhushiyoñ meñ hamārī paiham
dukh meñ nazreñ vahī insān badal dete haiñ
rail-gāḌī ke safar meñ ye huā hai aksar
log baiThe hue sāmān badal dete haiñ
ḳhūn-e-dil se jo jalāte haiñ azā.em ke charāġh
āmad-e-shab kā vo imkān badal dete haiñ
aaj ke logoñ meñ dekhī hai mahārat itnī
baḌī āsānī se pahchān badal dete haiñ
jin ko ījād kā da.avā hai suḳhan meñ ai 'sa.īd'
apne sheroñ ke vo arkān badal dete haiñ
apne kirdar ki pahchan badal dete hain
aise kuchh log hain iman badal dete hain
jin ki takmil ki surat nahin nikli ab tak
aaj hum dil ke wo arman badal dete hain
sath dete hain jo KHushiyon mein hamari paiham
dukh mein nazren wahi insan badal dete hain
rail-gaDi ke safar mein ye hua hai aksar
log baiThe hue saman badal dete hain
KHun-e-dil se jo jalate hain azaem ke charagh
aamad-e-shab ka wo imkan badal dete hain
aaj ke logon mein dekhi hai mahaarat itni
baDi aasani se pahchan badal dete hain
jin ko ijad ka dawa hai suKHan mein ai 'said'
apne sheron ke wo arkan badal dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.