apne ghar ke dar-o-diwar ko uncha na karo
apne ghar ke dar-o-dīvār ko ūñchā na karo
itnā gahrā mirī āvāz se pardā na karo
jo na ik baar bhī chalte hue muḌ ke dekheñ
aisī maġhrūr tamannāoñ kā pīchhā na karo
ho agar saath kisī shoḳh kī ḳhushbu-e-badan
raah chalte hue mah-pāroñ ko dekhā na karo
kal na ho ye ki makīnoñ ko taras jaa.e ye dil
dil ke aaseb kā har ek se charchā na karo
ishq-āsār zuleḳhāoñ kī is bastī meñ
sāhibo pākī-e-dāmāñ pe bharosa na karo
apne ghar ke dar-o-diwar ko uncha na karo
itna gahra meri aawaz se parda na karo
jo na ek bar bhi chalte hue muD ke dekhen
aisi maghrur tamannaon ka pichha na karo
ho agar sath kisi shoKH ki KHushbu-e-badan
rah chalte hue mah-paron ko dekha na karo
kal na ho ye ki makinon ko taras jae ye dil
dil ke aaseb ka har ek se charcha na karo
ishq-asar zuleKHaon ki is basti mein
sahibo paki-e-daman pe bharosa na karo
- Book : Sang-ge-Sada (Pg. 310)
- Author : Zubair Razvi
- Publication : Zehne Jadid, New Delhi (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.