apne dam se guzar auqat nahin karta main
apne dam se guzar auqāt nahīñ kartā maiñ
kaise kah duuñ ki ġhalat baat nahīñ kartā maiñ
shaam hote hī mire ghar meñ sahar hotī hai
raat bhī hotī hai par raat nahīñ kartā maiñ
aaj phir ḳhud se ḳhafā huuñ to yahī kartā huuñ
aaj phir ḳhud se koī baat nahīñ kartā maiñ
sirf ik baat hī se baat baḌhī hai itnī
sochtā huuñ ki mulāqāt nahīñ kartā maiñ
kyā burā hai jo mujhe log burā kahte haiñ
kaam karte haiñ jo hazrāt nahīñ kartā maiñ
apne dam se guzar auqat nahin karta main
kaise kah dun ki ghalat baat nahin karta main
sham hote hi mere ghar mein sahar hoti hai
raat bhi hoti hai par raat nahin karta main
aaj phir KHud se KHafa hun to yahi karta hun
aaj phir KHud se koi baat nahin karta main
sirf ek baat hi se baat baDhi hai itni
sochta hun ki mulaqat nahin karta main
kya bura hai jo mujhe log bura kahte hain
kaam karte hain jo hazraat nahin karta main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.