apna dil pesh karun apni wafa pesh karun
apnā dil pesh karūñ apnī vafā pesh karūñ
kuchh samajh meñ nahīñ aatā tujhe kyā pesh karūñ
tere milne kī ḳhushī meñ koī naġhma chheḌūñ
yā tire dard-e-judā.ī kā gilā pesh karūñ
mere ḳhvāboñ meñ bhī tū mere ḳhayāloñ meñ bhī tū
kaun sī chiiz tujhe tujh se judā pesh karūñ
jo tire dil ko lubhā.e vo adā mujh meñ nahīñ
kyuuñ na tujh ko koī terī hī adā pesh karūñ
apna dil pesh karun apni wafa pesh karun
kuchh samajh mein nahin aata tujhe kya pesh karun
tere milne ki KHushi mein koi naghma chheDun
ya tere dard-e-judai ka gila pesh karun
mere KHwabon mein bhi tu mere KHayalon mein bhi tu
kaun si chiz tujhe tujh se juda pesh karun
jo tere dil ko lubhae wo ada mujh mein nahin
kyun na tujh ko koi teri hi ada pesh karun
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 311)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.