ab apna haal hum unhen tahrir kar chuke
ab apnā haal ham unheñ tahrīr kar chuke
ḳhāma supurd kātib-e-taqdīr kar chuke
kahte haiñ tum visāl kī tadbīr kar chuke
goyā hamāre haq meñ vo taqdīr kar chuke
tadbīr ko havāla-e-taqdīr kar chuke
ham be-zabāñ bhī yaar se taqrīr kar chuke
dil-e-ḳhār-ḳhār ḳhanda-e-chashm-e-asar hai ab
dil-e-garm sirf nāla-e-shab-gīr kar chuke
martā huuñ yuuñ ki basta-e-fitrāk kyuuñ nahīñ
maiñ huuñ vahī ki tum jise naḳhchīr kar chuke
ham jaan kyuuñ na deñ dam-e-guftār baar baar
par dekhte haiñ ye ki vo taqrīr kar chuke
bāhar hai zabt-e-sharm se āshuftagī mirī
tum bhī asīr-e-zulf-e-girah-gīr kar chuke
vaqt-e-payām vasl vo kahte haiñ ho chukā
shāyad 'adū se vasl kī tahrīr kar chuke
bas intizār-e-sub.h-e-qayāmat nahīñ qubūl
ham ab to 'azm nāla-e-shab-gīr kar chuke
kuchh muzd-e-rañj bāzū-e-qātil nahīñ ki dil
nazr adā-e-burrash-e-shamshīr kar chuke
khultā nahīñ ye 'uqda ki ho baiThe shaad kyuuñ
kis ko asīr-e-zulf-e-girah-gīr kar chuke
kahiye ki shān-e-ishq meñ kyā ho ga.ī kamī
go aap ḳhuub sī mirī tahqīr kar chuke
dil hai yahāñ do-nīm qusūr-e-tapish mu'āf
tum bhī nigāh-e-bazm ko shamshīr kar chuke
khultā hai aur nāla-sarā.ī se dil mirā
naala ye biiñ to un pe bhī tāsīr kar chuke
sūrat chhupā.iye kisī sūrat-parast se
ham dil meñ naqsh aap kī tasvīr kar chuke
dāman-kashāñ chale haiñ mirī ḳhaak par se vo
barbād karne kī mirī tadbīr kar chuke
kuchh hashr-ḳhezī shab-e-ġham-e-intizār-e-marg
kuchh duur zulm vaqt kī tāḳhīr kar chuke
gautam ne us ko rakh ke nazar meñ girā diyā
lekin 'adū kī izzat-o-tauqīr kar chuke
tā-charḳh haiñ uḌaa.e phire mujh ko zo'f meñ
naale kahāñ kahāñ mujhe tash.hīr kar chuke
hai vahāñ nigah nigah ko sar-e-dil-barī magar
dil ko mere vo qismat-e-sad-tīr kar chuke
kahiye ki zor-e-bāzūe meñ kidhar gayā
sau baar ġhair aap kī taqsīr kar chuke
pahle jabīñ havāla-e-taqdīr kar chuke
dil musir hai ki kār-kunān-e-qazā ai
sāmān-e-sad-shikastīñ tā'mīr kar chuke
chun chun ke be-gunah ko vo laate haiñ zer-e-teġh
ham jab se is umiid pe taqsīr kar chuke
āḳhir to baa'd us ke hai yaas se umiid
jo kuchh ham apnī aah kī tāsīr kar chuke
ab kyā kaheñ ki qaul-e-vafā de chuke unheñ
pahle hī qat' dāman-e-taqrīr kar chuke
ab kyā rahā lapeT meñ dāman se aap ke
miTTī ham apnī aap jo tauqīr kar chuke
hai chashm-e-dajla baaz to kyā ham ko chashm-e-zīst
kāshāna rū-e-āb pe tā'mīr kar chuke
kyuuñ iltijā-e-qatl se kījiye unheñ satañg
jab vaqt aa gayā to vo tāḳhīr kar chuke
ham kis se shukr-o-mad.h qubūl-o-duā kareñ
lab qismat-e-shikāyat-e-tāsīr kar chuke
ab muñh se boltī koī tasvīr aap kī
jaañ apnī ham havāla-e-taqdīr kar chuke
is lab pe imtihāñ ke liye mar miTe haiñ ham
jiine se pahle marne kī tadbīr kar chuke
hotā hai vo hī yahāñ ki jo manzūr hai vahāñ
'anvar' ham āzmā.ish-e-taqdīr kar chuke
ab apna haal hum unhen tahrir kar chuke
KHama supurd katib-e-taqdir kar chuke
kahte hain tum visal ki tadbir kar chuke
goya hamare haq mein wo taqdir kar chuke
tadbir ko hawala-e-taqdir kar chuke
hum be-zaban bhi yar se taqrir kar chuke
dil-e-KHar-KHar KHanda-e-chashm-e-asar hai ab
dil-e-garm sirf nala-e-shab-gir kar chuke
marta hun yun ki basta-e-fitrak kyun nahin
main hun wahi ki tum jise naKHchir kar chuke
hum jaan kyun na den dam-e-guftar bar bar
par dekhte hain ye ki wo taqrir kar chuke
bahar hai zabt-e-sharm se aashuftagi meri
tum bhi asir-e-zulf-e-girah-gir kar chuke
waqt-e-payam wasl wo kahte hain ho chuka
shayad 'adu se wasl ki tahrir kar chuke
bas intizar-e-subh-e-qayamat nahin qubul
hum ab to 'azm nala-e-shab-gir kar chuke
kuchh muzd-e-ranj bazu-e-qatil nahin ki dil
nazr ada-e-burrash-e-shamshir kar chuke
khulta nahin ye 'uqda ki ho baiThe shad kyun
kis ko asir-e-zulf-e-girah-gir kar chuke
kahiye ki shan-e-ishq mein kya ho gai kami
go aap KHub si meri tahqir kar chuke
dil hai yahan do-nim qusur-e-tapish mu'af
tum bhi nigah-e-bazm ko shamshir kar chuke
khulta hai aur nala-sarai se dil mera
nala ye bin to un pe bhi tasir kar chuke
surat chhupaiye kisi surat-parast se
hum dil mein naqsh aap ki taswir kar chuke
daman-kashan chale hain meri KHak par se wo
barbaad karne ki meri tadbir kar chuke
kuchh hashr-KHezi shab-e-gham-e-intizar-e-marg
kuchh dur zulm waqt ki taKHir kar chuke
gautam ne us ko rakh ke nazar mein gira diya
lekin 'adu ki izzat-o-tauqir kar chuke
ta-charKH hain uDae phire mujh ko zo'f mein
nale kahan kahan mujhe tashhir kar chuke
hai wahan nigah nigah ko sar-e-dil-bari magar
dil ko mere wo qismat-e-sad-tir kar chuke
kahiye ki zor-e-bazue mein kidhar gaya
sau bar ghair aap ki taqsir kar chuke
pahle jabin hawala-e-taqdir kar chuke
dil musir hai ki kar-kunan-e-qaza ai
saman-e-sad-shikastin ta'mir kar chuke
chun chun ke be-gunah ko wo late hain zer-e-tegh
hum jab se is umid pe taqsir kar chuke
aaKHir to ba'd us ke hai yas se umid
jo kuchh hum apni aah ki tasir kar chuke
ab kya kahen ki qaul-e-wafa de chuke unhen
pahle hi qat' daman-e-taqrir kar chuke
ab kya raha lapeT mein daman se aap ke
miTTi hum apni aap jo tauqir kar chuke
hai chashm-e-dajla baz to kya hum ko chashm-e-zist
kashana ru-e-ab pe ta'mir kar chuke
kyun iltija-e-qatl se kijiye unhen satang
jab waqt aa gaya to wo taKHir kar chuke
hum kis se shukr-o-madh qubul-o-dua karen
lab qismat-e-shikayat-e-tasir kar chuke
ab munh se bolti koi taswir aap ki
jaan apni hum hawala-e-taqdir kar chuke
is lab pe imtihan ke liye mar miTe hain hum
jine se pahle marne ki tadbir kar chuke
hota hai wo hi yahan ki jo manzur hai wahan
'anwar' hum aazmaish-e-taqdir kar chuke
- Deewan-e-Anwar Nazm-e-Dilfroz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.