ana munh aansuon se dho rahi hai
anā muñh āñ.suoñ se dho rahī hai
zarūrat sar-ba-sajda ho rahī hai
mirī dushman mirī be-bāk-goī
mirī rāhoñ meñ kāñTe bo rahī hai
riyā-kārī liye jaatī hai sabqat
haqīqat sar jhukā.e ro rahī hai
musalsal ik aziyyat zindagānī
ġhamoñ ke bojh sar par Dho rahī hai
zamāna maslahat-parvar huā hai
zarūrat ādmīyyat kho rahī hai
kisī kī shaḳhsiyat majrūh kar dī
zamāne bhar meñ shohrat ho rahī hai
ana munh aansuon se dho rahi hai
zarurat sar-ba-sajda ho rahi hai
meri dushman meri be-bak-goi
meri rahon mein kanTe bo rahi hai
riya-kari liye jati hai sabqat
haqiqat sar jhukae ro rahi hai
musalsal ek aziyyat zindagani
ghamon ke bojh sar par Dho rahi hai
zamana maslahat-parwar hua hai
zarurat aadmiyyat kho rahi hai
kisi ki shaKHsiyat majruh kar di
zamane bhar mein shohrat ho rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.