ishq hai to ishq ka izhaar hona chahiye
ishq hai to ishq kā iz.hār honā chāhiye
aap ko chehre se bhī bīmār honā chāhiye
aap dariyā haiñ to phir is vaqt ham ḳhatre meñ haiñ
aap kashtī haiñ to ham ko paar honā chāhiye
aire-ġhaire log bhī paḌhne lage haiñ in dinoñ
aap ko aurat nahīñ aḳhbār honā chāhiye
zindagī tū kab talak dar-dar phirā.egī hameñ
TūTā-phūTā hī sahī ghar-bār honā chāhiye
apnī yādoñ se kaho ik din kī chhuTTī de mujhe
ishq ke hisse meñ bhī itvār honā chāhiye
ishq hai to ishq ka izhaar hona chahiye
aap ko chehre se bhi bimar hona chahiye
aap dariya hain to phir is waqt hum KHatre mein hain
aap kashti hain to hum ko par hona chahiye
aire-ghaire log bhi paDhne lage hain in dinon
aap ko aurat nahin aKHbar hona chahiye
zindagi tu kab talak dar-dar phiraegi hamein
TuTa-phuTa hi sahi ghar-bar hona chahiye
apni yaadon se kaho ek din ki chhuTTi de mujhe
ishq ke hisse mein bhi itwar hona chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.