akele hain wo aur jhunjhla rahe hain
akele haiñ vo aur jhuñjhlā rahe haiñ
mirī yaad se jañg farmā rahe haiñ
ye kaisī havā-e-taraqqī chalī hai
diye to diye dil bujhe jā rahe haiñ
ilāhī mire dost hoñ ḳhairiyat se
ye kyuuñ ghar meñ patthar nahīñ aa rahe haiñ
bahisht-e-tasavvur ke jalve haiñ maiñ huuñ
judā.ī salāmat maze aa rahe haiñ
qayāmat ke aane meñ rindoñ ko shak thā
jo dekhā to vaa.iz chale aa rahe haiñ
bahāroñ meñ bhī mai se parhez tauba
'ḳhumār' aap kāfir hue jā rahe haiñ
akele hain wo aur jhunjhla rahe hain
meri yaad se jang farma rahe hain
ye kaisi hawa-e-taraqqi chali hai
diye to diye dil bujhe ja rahe hain
ilahi mere dost hon KHairiyat se
ye kyun ghar mein patthar nahin aa rahe hain
bahisht-e-tasawwur ke jalwe hain main hun
judai salamat maze aa rahe hain
qayamat ke aane mein rindon ko shak tha
jo dekha to waiz chale aa rahe hain
bahaaron mein bhi mai se parhez tauba
'KHumar' aap kafir hue ja rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.