ajab talash-e-musalsal ka iKHtitam hua
ajab talāsh-e-musalsal kā iḳhtitām huā
husūl-e-rizq huā bhī to zer-e-dām huā
thā intizār manāeñge mil ke dīvālī
na tum hī lauT ke aa.e na vaqt-e-shām huā
har ek shahr kā me.aar muḳhtalif dekhā
kahīñ pe sar kahīñ pagḌī kā ehtirām huā
zarā sī umr adāvat kī lambī fehristeñ
ajiib qarz virāsat meñ mere naam huā
na thī zamīn meñ vus.at mirī nazar jaisī
badan thakā bhī nahīñ aur safar tamām huā
ham apne saath liye phir rahe haiñ pachhtāvā
ḳhayāl lauT ke jaane kā gaam gaam huā
ajab talash-e-musalsal ka iKHtitam hua
husul-e-rizq hua bhi to zer-e-dam hua
tha intizar manaenge mil ke diwali
na tum hi lauT ke aae na waqt-e-sham hua
har ek shahr ka mear muKHtalif dekha
kahin pe sar kahin pagDi ka ehtiram hua
zara si umr adawat ki lambi fehristen
ajib qarz wirasat mein mere nam hua
na thi zamin mein wusat meri nazar jaisi
badan thaka bhi nahin aur safar tamam hua
hum apne sath liye phir rahe hain pachhtawa
KHayal lauT ke jaane ka gam gam hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.