aisi mushkil mein na jaan thi pahle
aisī mushkil meñ na jaañ thī pahle
ziist kab itnī garāñ thī pahle
āsmāñ thā na zamīñ thī koī
kā.enāt ek dhuāñ thī pahle
dhuup bahrūp pighaltā sonā
chāñdnī āb-e-ravāñ thī pahle
ek maḳhsūs samā.at sab kī
ek mānūs zabāñ thī pahle
qatl ke kab the ye saare sāmāñ
ek tiir ek kamāñ thī pahle
ye jo bijlī sī chamak jaatī hai
saat pardoñ meñ nihāñ thī pahle
is jagah bañk nahīñ hotā thā
ik kitāboñ kī dukāñ thī pahle
kuchh to raste the sitāroñ aise
kuchh tabī.at bhī ravāñ thī pahle
phuul hī phuul khilā karte the
mujh meñ ye aag kahāñ thī pahle
zaḳhm dīvār batātā hai 'munīr'
ek tasvīr yahāñ thī pahle
aisi mushkil mein na jaan thi pahle
zist kab itni garan thi pahle
aasman tha na zamin thi koi
kaenat ek dhuan thi pahle
dhup bahrup pighalta sona
chandni aab-e-rawan thi pahle
ek maKHsus samaat sab ki
ek manus zaban thi pahle
qatl ke kab the ye sare saman
ek tir ek kaman thi pahle
ye jo bijli si chamak jati hai
sat pardon mein nihan thi pahle
is jagah bank nahin hota tha
ek kitabon ki dukan thi pahle
kuchh to raste the sitaron aise
kuchh tabiat bhi rawan thi pahle
phul hi phul khila karte the
mujh mein ye aag kahan thi pahle
zaKHm diwar batata hai 'munir'
ek taswir yahan thi pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.