ai dil wo aashiqi ke fasane kidhar gae
ai dil vo āshiqī ke fasāne kidhar ga.e
vo umr kyā huī vo zamāne kidhar ga.e
vīrāñ haiñ sahn o baaġh bahāroñ ko kyā huā
vo bulbuleñ kahāñ vo tarāne kidhar ga.e
hai najd meñ sukūt havāoñ ko kyā huā
lailā.eñ haiñ ḳhamosh divāne kidhar ga.e
ujḌe paḌe haiñ dasht ġhazāloñ pe kyā banī
suune haiñ kohsār divāne kidhar ga.e
vo hijr meñ visāl kī ummīd kyā huī
vo rañj meñ ḳhushī ke bahāne kidhar ga.e
din raat mai-kade meñ guzartī thī zindagī
'aḳhtar' vo be-ḳhudī ke zamāne kidhar ga.e
ai dil wo aashiqi ke fasane kidhar gae
wo umr kya hui wo zamane kidhar gae
viran hain sahn o bagh bahaaron ko kya hua
wo bulbulen kahan wo tarane kidhar gae
hai najd mein sukut hawaon ko kya hua
lailaen hain KHamosh diwane kidhar gae
ujDe paDe hain dasht ghazalon pe kya bani
sune hain kohsar diwane kidhar gae
wo hijr mein visal ki ummid kya hui
wo ranj mein KHushi ke bahane kidhar gae
din raat mai-kade mein guzarti thi zindagi
'aKHtar' wo be-KHudi ke zamane kidhar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.