adalat mein kabhi kya morid-e-ilzam hote hain
adālat meñ kabhī kyā morid-e-ilzām hote haiñ
vo ahl-e-shahr jin kī shah pe qatl-e-ām hote haiñ
chaman meñ ḳhushk-sālī par hai ḳhush sayyād ki ab ḳhud
parinde peT kī ḳhātir asīr-e-dām hote haiñ
agar maqdūr ho in ko ḳharīdā bhī hai jā saktā
ye jo in.aam hote haiñ yā jo ikrām hote haiñ
jahāñ meñ jo ḳhalal hai hosh vāloñ kī badaulat hai
ye be-ḳhud rind to bas muft meñ badnām hote haiñ
sharīk-e-ġhārat-e-gulshan banā hai nāzim-e-gulshan
siyāsat meñ 'sadā' aise karishme aam hote haiñ
adalat mein kabhi kya morid-e-ilzam hote hain
wo ahl-e-shahr jin ki shah pe qatl-e-am hote hain
chaman mein KHushk-sali par hai KHush sayyaad ki ab KHud
parinde peT ki KHatir asir-e-dam hote hain
agar maqdur ho in ko KHarida bhi hai ja sakta
ye jo inam hote hain ya jo ikram hote hain
jahan mein jo KHalal hai hosh walon ki badaulat hai
ye be-KHud rind to bas muft mein badnam hote hain
sharik-e-ghaarat-e-gulshan bana hai nazim-e-gulshan
siyasat mein 'sada' aise karishme aam hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.