ada se dekh lo jata rahe gila dil ka
adā se dekh lo jaatā rahe gila dil kā
bas ik nigāh pe Thahrā hai faisla dil kā
sitam vo tum ne kiye bhūle ham gila dil kā
huā tumhāre bigaḌne se faisla dil kā
bahār aate hī kunj-e-qafas nasīb huā
hazār haif ki niklā na jo sila dil kā
jo ye nishāna uḌā do to samjheñ tīr-fagan
bahut hai nāvak-e-mizhgāñ se fāsla dil kā
ilāhī ḳhair ho kuchh aaj rang be-Dhab hai
Tapak rahā hai ka.ī din se aabla dil kā
chalā hai chhoḌ ke tanhā kidhar tasavvur-e-yār
shab-e-firāq meñ thā tujh se mashġhala dil kā
vo riñd huuñ ki mujhe hathkaḌī se bai'at hai
balā hai gesū-e-jānāñ se silsila dil kā
phirā jo kūcha-e-kākul se koī pūchheñge
sunā hai luT gayā raste meñ qāfila dil kā
umīd-e-sub.h meñ kartā huuñ chaak dāman-e-shab
junūñ meñ roz nikālā hai mashġhala dil kā
vo zulm karte haiñ ham par to log kahte haiñ
ḳhudā bure se na Daale mu'āmla dil kā
hazār fasl-e-gul aa.e junūñ vo josh kahāñ
gayā shabāb ke hamrāh valvala dil kā
ḳhudā ke haath hai apnā ab ai 'qalaq' insāf
butoñ se hashr meñ hogā muqābla dil kā
ada se dekh lo jata rahe gila dil ka
bas ek nigah pe Thahra hai faisla dil ka
sitam wo tum ne kiye bhule hum gila dil ka
hua tumhaare bigaDne se faisla dil ka
bahaar aate hi kunj-e-qafas nasib hua
hazar haif ki nikla na jo sila dil ka
jo ye nishana uDa do to samjhen tir-fagan
bahut hai nawak-e-mizhgan se fasla dil ka
ilahi KHair ho kuchh aaj rang be-Dhab hai
Tapak raha hai kai din se aabla dil ka
chala hai chhoD ke tanha kidhar tasawwur-e-yar
shab-e-firaq mein tha tujh se mashghala dil ka
wo rind hun ki mujhe hathkaDi se bai'at hai
bala hai gesu-e-jaanan se silsila dil ka
phira jo kucha-e-kakul se koi puchhenge
suna hai luT gaya raste mein qafila dil ka
umid-e-subh mein karta hun chaak daman-e-shab
junun mein roz nikala hai mashghala dil ka
wo zulm karte hain hum par to log kahte hain
KHuda bure se na Dale mu'amla dil ka
hazar fasl-e-gul aae junun wo josh kahan
gaya shabab ke hamrah walwala dil ka
KHuda ke hath hai apna ab ai 'qalaq' insaf
buton se hashr mein hoga muqabla dil ka
- Mazhar-e-Ishq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.