achchhe-KHase log bure ho jate hain
achchhe-ḳhāse log bure ho jaate haiñ
jāgne kā dā'vā kar ke so jaate haiñ
shahr kā bhī dastūr vahī jangal vaalā
khojne vaale hī aksar kho jaate haiñ
dīvānoñ kī ghaat meñ baiThne vaale log
sunte haiñ ik din pāgal ho jaate haiñ
us kī galī meñ jā kar us se uljheñge
saath agar honā hai ho lo jaate haiñ
ham jaisoñ ko hairat bhī hotī hogī
ek idhar aatā hai udhar do jaate haiñ
himmat haar ga.e to baazī haar ga.e
lauT jā tū bhī ham bhī ghar ko jaate haiñ
achchhe-KHase log bure ho jate hain
jagne ka da'wa kar ke so jate hain
shahr ka bhi dastur wahi jangal wala
khojne wale hi aksar kho jate hain
diwanon ki ghat mein baiThne wale log
sunte hain ek din pagal ho jate hain
us ki gali mein ja kar us se uljhenge
sath agar hona hai ho lo jate hain
hum jaison ko hairat bhi hoti hogi
ek idhar aata hai udhar do jate hain
himmat haar gae to bazi haar gae
lauT ja tu bhi hum bhi ghar ko jate hain
- Book : khush ahjaar (Pg. 37)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.