achanak teri yaad ka silsila
achānak tirī yaad kā silsila
añdhere kī dīvār ban ke girā
abhī koī saaya nikal aa.egā
zarā jism ko raushnī to dikhā
paḌā thā daraḳhtoñ tale TuuT kar
chamaktī huī dhuup kā aa.inā
koī apne ghar se nikaltā nahīñ
ajab haal hai aaj kal shahr kā
maiñ us ke badan kī muqaddas kitāb
nihāyat aqīdat se paḌhtā rahā
ye kyā aap phir sher kahne lage
are yaar 'alvī' ye phir kyā huā
achanak teri yaad ka silsila
andhere ki diwar ban ke gira
abhi koi saya nikal aaega
zara jism ko raushni to dikha
paDa tha daraKHton tale TuT kar
chamakti hui dhup ka aaina
koi apne ghar se nikalta nahin
ajab haal hai aaj kal shahr ka
main us ke badan ki muqaddas kitab
nihayat aqidat se paDhta raha
ye kya aap phir sher kahne lage
are yar 'alwi' ye phir kya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.