ab wo agla sa iltifat nahin
ab vo aglā sā iltifāt nahīñ
jis pe bhūle the ham vo baat nahīñ
mujh ko tum se e'timād-e-vafā
tum ko mujh se par iltifāt nahīñ
rañj kyā kyā haiñ ek jaan ke saath
zindagī maut hai hayāt nahīñ
yūñhī guzre to sahl hai lekin
fursat-e-ġham ko bhī sabāt nahīñ
koī dil-soz ho to kiije bayāñ
sarsarī dil kī vārdāt nahīñ
zarra zarra hai maz.har-e-ḳhurshīd
jaag ai aañkh din hai raat nahīñ
qais ho kohkan ho yā 'hālī'
āshiqī kuchh kisī kī zaat nahīñ
ab wo agla sa iltifat nahin
jis pe bhule the hum wo baat nahin
mujh ko tum se e'timad-e-wafa
tum ko mujh se par iltifat nahin
ranj kya kya hain ek jaan ke sath
zindagi maut hai hayat nahin
yunhi guzre to sahl hai lekin
fursat-e-gham ko bhi sabaat nahin
koi dil-soz ho to kije bayan
sarsari dil ki wardat nahin
zarra zarra hai mazhar-e-KHurshid
jag ai aankh din hai raat nahin
qais ho kohkan ho ya 'haali'
aashiqi kuchh kisi ki zat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.