ab tak jo ji chuka hun janam gin raha hun main
ab tak jo jī chukā huuñ janam gin rahā huuñ maiñ
duniyā samajh rahī hai ki ġham gin rahā huuñ maiñ
matrūk rāste meñ lagā sañg-e-mīl huuñ
bhaTke hue ke sīdhe qadam gin rahā huuñ maiñ
Table se gir ke raat ko TuuTā hai ik gilās
battī jalā ke apnī raqam gin rahā huuñ maiñ
ta.adād jānñā hai ki kitne mare haiñ aaj
jo chal nahīñ sake haiñ vo bam gin rahā huuñ maiñ
maiñ santarī huuñ auratoñ kī jail kā huzūr
do-chār qaidī is liye kam gin rahā huuñ maiñ
'ārish' surāhī-dār sī gardan ke sehr meñ
zamzam sī guftugū ko bhī ram gin rahā huuñ maiñ
ab tak jo ji chuka hun janam gin raha hun main
duniya samajh rahi hai ki gham gin raha hun main
matruk raste mein laga sang-e-mil hun
bhaTke hue ke sidhe qadam gin raha hun main
Table se gir ke raat ko TuTa hai ek gilas
batti jala ke apni raqam gin raha hun main
tadad jaanna hai ki kitne mare hain aaj
jo chal nahin sake hain wo bam gin raha hun main
main santari hun auraton ki jail ka huzur
do-chaar qaidi is liye kam gin raha hun main
'arish' surahi-dar si gardan ke sehr mein
zamzam si guftugu ko bhi ram gin raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.