ab kis se kahen aur kaun sune jo haal tumhaare baad hua
ab kis se kaheñ aur kaun sune jo haal tumhāre baad huā
is dil kī jhiil sī āñkhoñ meñ ik ḳhvāb bahut barbād huā
ye hijr-havā bhī dushman hai is naam ke saare rañgoñ kī
vo naam jo mere hoñToñ par ḳhushbū kī tarah ābād huā
us shahr meñ kitne chehre the kuchh yaad nahīñ sab bhuul ga.e
ik shaḳhs kitāboñ jaisā thā vo shaḳhs zabānī yaad huā
vo apne gaañv kī galiyāñ thiiñ dil jin meñ nāchtā gaatā thā
ab is se farq nahīñ paḌtā nāshād huā yā shaad huā
benām satā.ish rahtī thī in gahrī sāñvlī āñkhoñ meñ
aisā to kabhī sochā bhī na thā dil ab jitnā bedād huā
ab kis se kahen aur kaun sune jo haal tumhaare baad hua
is dil ki jhil si aankhon mein ek KHwab bahut barbaad hua
ye hijr-hawa bhi dushman hai is nam ke sare rangon ki
wo nam jo mere honTon par KHushbu ki tarah aabaad hua
us shahr mein kitne chehre the kuchh yaad nahin sab bhul gae
ek shaKHs kitabon jaisa tha wo shaKHs zabani yaad hua
wo apne ganw ki galiyan thin dil jin mein nachta gata tha
ab is se farq nahin paDta nashad hua ya shad hua
benam sataish rahti thi in gahri sanwli aankhon mein
aisa to kabhi socha bhi na tha dil ab jitna bedad hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.