ab kaho karwan kidhar ko chale
ab kaho kārvāñ kidhar ko chale
rāste kho ga.e charāg jale
āñsuoñ meñ nahā ga.iiñ ḳhushiyāñ
ruuTh kar jab vo aa lage haiñ gale
ishq ġham ko ubuur kar na sakā
rāste kārvāñ ke saath chale
ham pe guzrī haiñ hijr kī rāteñ
ham jahannam meñ the magar na jale
the mohabbat kī ibtidā ke qusūr
vo tabassum jo āñsuoñ meñ Dhale
ḳhaak se saiñkaḌoñ uge ḳhurshīd
hai añdherā magar charāg-tale
chāñd sākit hai ruk ga.e taare
ab vo aa.eñ to ġham kī raat Dhale
mai-kade kā to zikr bhī hai gunāh
ab hayāt-e-haram paḌī hai gale
pursish-e-hāl kā javāb thā kyā
hañs paḌe ham ki jald baat Tale
ab kaho karwan kidhar ko chale
raste kho gae charag jale
aansuon mein naha gain KHushiyan
ruTh kar jab wo aa lage hain gale
ishq gham ko ubur kar na saka
raste karwan ke sath chale
hum pe guzri hain hijr ki raaten
hum jahannam mein the magar na jale
the mohabbat ki ibtida ke qusur
wo tabassum jo aansuon mein Dhale
KHak se sainkaDon uge KHurshid
hai andhera magar charag-tale
chand sakit hai ruk gae tare
ab wo aaen to gham ki raat Dhale
mai-kade ka to zikr bhi hai gunah
ab hayat-e-haram paDi hai gale
pursish-e-haal ka jawab tha kya
hans paDe hum ki jald baat Tale
- Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 320)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.