ab dil ki taraf dard ki yalghaar bahut hai
ab dil kī taraf dard kī yalġhār bahut hai
duniyā mire zaḳhmoñ kī talabgār bahut hai
ab TuuT rahā hai mirī hastī kā tasavvur
is vaqt mujhe tujh se sarokār bahut hai
miTTī kī ye dīvār kahīñ TuuT na jaa.e
roko ki mire ḳhuun kī raftār bahut hai
har saañs ukhaḌ jaane kī koshish meñ pareshāñ
siine meñ koī hai jo giraftār bahut hai
paanī se ulajhte hue insān kā ye shor
us paar bhī hogā magar is paar bahut hai
ab dil ki taraf dard ki yalghaar bahut hai
duniya mere zaKHmon ki talabgar bahut hai
ab TuT raha hai meri hasti ka tasawwur
is waqt mujhe tujh se sarokar bahut hai
miTTi ki ye diwar kahin TuT na jae
roko ki mere KHun ki raftar bahut hai
har sans ukhaD jaane ki koshish mein pareshan
sine mein koi hai jo giraftar bahut hai
pani se ulajhte hue insan ka ye shor
us par bhi hoga magar is par bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.