aasman par ek sitara sham se betab hai
āsmāñ par ik sitāra shaam se betāb hai
merī āñkhoñ meñ tumhārā ġham nahīñ hai ḳhvāb hai
raat dariyā aa.ine meñ is tarah aayā ki maiñ
ye samajh kar so gayā dariyā nahīñ ik ḳhvāb hai
kāmanī sūrat meñ bhī ik aarzū hai mahv-e-ḳhvāb
sāñvlī rañgat meñ bhī ik vasl kā kam-ḳhvāb hai
merī ḳhātir kuchh sunahrī sāñvlī miTTī bhī thī
varna us kā jism saarā raushnī kā ḳhvāb hai
āsmāñ ik bistar-e-sanjāb lagtā hai mujhe
aur ye qaus-e-quzah jaise koī mehrāb hai
kis ke istiqbāl ko uTThe the dīvānoñ ke haath
kis ke mātam ko yahāñ ye majma'-e-ahbāb hai
yā ilāhābād meñ rahiye jahāñ sañgam bhī ho
yā banāras meñ jahāñ har ghaaT par sailāb hai
is nahañg-e-tishna se zor-āzmā ho kar 'jamīl'
bhuul mat jaanā ki aage bhī vahī girdāb hai
aasman par ek sitara sham se betab hai
meri aankhon mein tumhaara gham nahin hai KHwab hai
raat dariya aaine mein is tarah aaya ki main
ye samajh kar so gaya dariya nahin ek KHwab hai
kaamani surat mein bhi ek aarzu hai mahw-e-KHwab
sanwli rangat mein bhi ek wasl ka kam-KHwab hai
meri KHatir kuchh sunahri sanwli miTTi bhi thi
warna us ka jism sara raushni ka KHwab hai
aasman ek bistar-e-sanjab lagta hai mujhe
aur ye qaus-e-quzah jaise koi mehrab hai
kis ke istiqbaal ko uTThe the diwanon ke hath
kis ke matam ko yahan ye majma'-e-ahbab hai
ya ilahabaad mein rahiye jahan sangam bhi ho
ya banaras mein jahan har ghaT par sailab hai
is nahang-e-tishna se zor-azma ho kar 'jamil'
bhul mat jaana ki aage bhi wahi girdab hai
- Book : chhaar khvaab (Pg. 115)
- Author : qamar jameel
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.