aap uske hain yahi usko bata kar dekhiye
aap us ke haiñ yahī us ko batā kar dekhiye
vo yaqīnan maan jā.egī manā kar dekhiye
aap kyā jāneñ sharāboñ kā nasha kyā hotā hai
ek din merī tarah se Dagmagā kar dekhiye
merī ye vīrān āñkheñ kah rahī haiñ dosto
saare sapne TūTte haiñ aazmā kar dekhiye
mere ghar meñ aap kī bas aap kī tasvīreñ haiñ
aap ko jab vaqt ho to ghar meñ aa kar dekhiye
sirf itnī der kī hai zindagī ai dosto
sirf itnī der ko chuTkī bajā kar dekhiye
jaane kitne be-qusūroñ ko sazā.eñ mil rahīñ
jhuuT lagtā hai tumheñ to jail jā kar dekhiye
aap us ke hain yahi us ko bata kar dekhiye
wo yaqinan man jaegi mana kar dekhiye
aap kya jaanen sharabon ka nasha kya hota hai
ek din meri tarah se Dagmaga kar dekhiye
meri ye viran aankhen kah rahi hain dosto
sare sapne TuTte hain aazma kar dekhiye
mere ghar mein aap ki bas aap ki taswiren hain
aap ko jab waqt ho to ghar mein aa kar dekhiye
sirf itni der ki hai zindagi ai dosto
sirf itni der ko chuTki baja kar dekhiye
jaane kitne be-qusuron ko sazaen mil rahin
jhuT lagta hai tumhein to jail ja kar dekhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.