hae wo waqt-e-judai ke hamare aansu
haa.e vo vaqt-e-judā.ī ke hamāre aañsū
gir ke dāman pe bane the jo sitāre aañsū
laal o gauhar ke ḳhazāne haiñ ye saare aañsū
koī āñkhoñ se churā le na tumhāre aañsū
un kī āñkhoñ meñ jo aa.eñ to sitāre aañsū
merī āñkhoñ meñ agar huuñ to bichāre aañsū
dāman-e-sabr bhī hāthoñ se mire chhūT gayā
ab to aa pahuñche haiñ palkoñ ke kināre aañsū
aap lillāh mirī fikr na kiije hargiz
aa ga.e haiñ yūñhī bas shauq ke maare aañsū
do ghaḌī dard ne āñkhoñ meñ bhī rahne na diyā
ham to samjhe the baneñge ye sahāre aañsū
tū to kahtā thā na ro.eñge kabhī tere liye
aaj kyuuñ aa ga.e palkoñ ke kināre aañsū
aaj tak ham ko qalaq hai usī rusvā.ī kā
bah ga.e the jo bichhaḌne pe hamāre aañsū
mere Thahre hue ashkoñ kī haqīqat samjho
kar rahe haiñ kisī tūfāñ ke ishāre aañsū
aaj ashkoñ pe mire tum ko hañsī aatī hai
tum to kahte the kabhī in ko sitāre aañsū
is qadar ġham bhī na de kuchh na rahe paas mire
aisā lagtā hai ki bah jā.eñge saare aañsū
dil ke jalne kā agar ab bhī ye andāz rahā
phir to ban jā.eñge ik din ye sharāre aañsū
tum ko rimjhim kā nazāra jo lagā hai ab tak
ham ne jalte hue āñkhoñ se guzāre aañsū
mere hoñToñ ko to jumbish bhī na hogī lekin
shiddat-e-ġham se jo ghabrā ke pukāre aañsū
merī fariyād sunī hai na vo dil mom huā
yūñhī bah bah ke mire aaj ye haare aañsū
un ko 'nāsir' kabhī āñkhoñ se na girne denā
merī āñkhoñ meñ inheñ lagte haiñ pyāre aañsū
hae wo waqt-e-judai ke hamare aansu
gir ke daman pe bane the jo sitare aansu
lal o gauhar ke KHazane hain ye sare aansu
koi aankhon se chura le na tumhaare aansu
un ki aankhon mein jo aaen to sitare aansu
meri aankhon mein agar hun to bichaare aansu
daman-e-sabr bhi hathon se mere chhuT gaya
ab to aa pahunche hain palkon ke kinare aansu
aap lillah meri fikr na kije hargiz
aa gae hain yunhi bas shauq ke mare aansu
do ghaDi dard ne aankhon mein bhi rahne na diya
hum to samjhe the banenge ye sahaare aansu
tu to kahta tha na roenge kabhi tere liye
aaj kyun aa gae palkon ke kinare aansu
aaj tak hum ko qalaq hai usi ruswai ka
bah gae the jo bichhaDne pe hamare aansu
mere Thahre hue ashkon ki haqiqat samjho
kar rahe hain kisi tufan ke ishaare aansu
aaj ashkon pe mere tum ko hansi aati hai
tum to kahte the kabhi in ko sitare aansu
is qadar gham bhi na de kuchh na rahe pas mere
aisa lagta hai ki bah jaenge sare aansu
dil ke jalne ka agar ab bhi ye andaz raha
phir to ban jaenge ek din ye sharare aansu
tum ko rimjhim ka nazara jo laga hai ab tak
hum ne jalte hue aankhon se guzare aansu
mere honTon ko to jumbish bhi na hogi lekin
shiddat-e-gham se jo ghabra ke pukare aansu
meri fariyaad suni hai na wo dil mom hua
yunhi bah bah ke mere aaj ye haare aansu
un ko 'nasir' kabhi aankhon se na girne dena
meri aankhon mein inhen lagte hain pyare aansu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.