banae rakhta hai aankhon mein raushni aansu
banae rakhta hai aankhon mein raushni aansu
Dheerendra Singh Faiyaz
MORE BYDheerendra Singh Faiyaz
banā.e rakhtā hai āñkhoñ meñ raushnī aañsū
so merā ḳhvāb bhī aañsū hai niiñd bhī aañsū
ugeñge niiñd ke paude pe kuchh na.e na.e ḳhvāb
karegā aañkh meñ jab kīmiyā-garī aañsū
banā huā hai sitārā hamārī āñkhoñ kā
Tapaktā hī nahīñ āñkhoñ se āḳhirī aañsū
kabhī jo rone kā jī ho to khul ke ro lenā
banā ke rakhtā hai logoñ ko aadmī aañsū
mirā ḳhayāl tasavvur yahī mujhe mazmūn
mirī zabān bhī aañsū hai shā.irī aañsū
nazar jhukā ke vo kahtī thī mujh ko patthar dil
milātī aañkh to āñkhoñ meñ dekhtī aañsū
hamāre rone ko tum rañj kyoñ samajhte ho
hamārā ronā ḳhushī hai shaguftagī aañsū
banae rakhta hai aankhon mein raushni aansu
so mera KHwab bhi aansu hai nind bhi aansu
ugenge nind ke paude pe kuchh nae nae KHwab
karega aankh mein jab kimiya-gari aansu
bana hua hai sitara hamari aankhon ka
Tapakta hi nahin aankhon se aaKHiri aansu
kabhi jo rone ka ji ho to khul ke ro lena
bana ke rakhta hai logon ko aadmi aansu
mera KHayal tasawwur yahi mujhe mazmun
meri zaban bhi aansu hai shairi aansu
nazar jhuka ke wo kahti thi mujh ko patthar dil
milati aankh to aankhon mein dekhti aansu
hamare rone ko tum ranj kyon samajhte ho
hamara rona KHushi hai shaguftagi aansu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.