aankh mein partaw-e-mahtab salamat rah jae
aañkh meñ partav-e-mahtāb salāmat rah jaa.e
koī sūrat ho ki ik ḳhvāb salāmat rah jaa.e
roz Dahe jaa.e ye haarā tan o jaañ kā lekin
Dher meñ ik dil-e-be-tāb salāmat rah jaa.e
vo kisī ḳhair ḳhazāne kī ḳhabar detā hai
jo safīna pas-e-sailāb salāmat rah jaa.e
dil kisī mauj-e-junūñ meñ jo lahū se likh de
aisī tahrīr sar-e-āb salāmat rah jaa.e
pyaar vo peḌ hai sau baar ukhāḌo dil se
phir bhī siine meñ koī daab salāmat rah jaa.e
laakh vo shauq-sahīfoñ ko jalā leñ 'ālī'
raakh meñ ek na ik baab salāmat rah jaa.e
aankh mein partaw-e-mahtab salamat rah jae
koi surat ho ki ek KHwab salamat rah jae
roz Dahe jae ye haara tan o jaan ka lekin
Dher mein ek dil-e-be-tab salamat rah jae
wo kisi KHair KHazane ki KHabar deta hai
jo safina pas-e-sailab salamat rah jae
dil kisi mauj-e-junun mein jo lahu se likh de
aisi tahrir sar-e-ab salamat rah jae
pyar wo peD hai sau bar ukhaDo dil se
phir bhi sine mein koi dab salamat rah jae
lakh wo shauq-sahifon ko jala len 'ali'
rakh mein ek na ek bab salamat rah jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.