aane wala hai koi mehman kya
aane vaalā hai koī mehmān kyā
ho ga.e sab marhale āsān kyā
vaqt kī raftār kaise tham ga.ī
ho gayā hai har-nafas be-jān kyā
TūTnā jaḌnā to hai ik silsila
ho rahe ho is qadar hairān kyā
zindagī se rishta apnā toḌ kar
jā rahe ho jab to ye sāmān kyā
dhuup ke saa.e meñ chup sādhe hue
kar rahe ho amn kā elaan kyā
ḳhvāhishoñ ke sab parinde uḌ ga.e
ho ga.ī hai zindagī vīrān kyā
sochtā rahtā huuñ 'ādil' rāt-din
maiñ hī kyā huuñ aur mirī pahchān kyā
aane wala hai koi mehman kya
ho gae sab marhale aasan kya
waqt ki raftar kaise tham gai
ho gaya hai har-nafas be-jaan kya
TuTna jaDna to hai ek silsila
ho rahe ho is qadar hairan kya
zindagi se rishta apna toD kar
ja rahe ho jab to ye saman kya
dhup ke sae mein chup sadhe hue
kar rahe ho amn ka elan kya
KHwahishon ke sab parinde uD gae
ho gai hai zindagi viran kya
sochta rahta hun 'adil' raat-din
main hi kya hun aur meri pahchan kya
- Book : Sitara Sang (Gazals) (Pg. 84)
- Author : Adil Hayat
- Publication : Nirali Duniya Publications,Darya Ganj, Delhi (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.