gham se na aansuon se na diwangi se hum
ġham se na āñsuoñ se na dīvāngī se ham
vāqif nahīñ the aap se pahle kisī se ham
zinda rakhīñ buzurgoñ kī ham ne rivāyateñ
dushman se bhī mile to mile ājizī se ham
sab sar-phirī havāoñ ko dushman banā liyā
raushan hue the laḌne ko ik tīrgī se ham
sāñseñ mahak rahī haiñ nigāhoñ meñ nuur hai
phir aaj mil ke aa.e haiñ ik aadmī se ham
sūraj to sirf din ke ujāle kā hai imaam
ham haiñ charāġh laḌte haiñ tīra-shabī se ham
badnām ho rahā hai muqaddar to be-sabab
barbād haiñ ḳhud apne amal kī kamī se ham
gham se na aansuon se na diwangi se hum
waqif nahin the aap se pahle kisi se hum
zinda rakhin buzurgon ki hum ne riwayaten
dushman se bhi mile to mile aajizi se hum
sab sar-phiri hawaon ko dushman bana liya
raushan hue the laDne ko ek tirgi se hum
sansen mahak rahi hain nigahon mein nur hai
phir aaj mil ke aae hain ek aadmi se hum
suraj to sirf din ke ujale ka hai imam
hum hain charagh laDte hain tira-shabi se hum
badnam ho raha hai muqaddar to be-sabab
barbaad hain KHud apne amal ki kami se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.