aaj to nahin milta or-chhor dariya ka
aaj to nahīñ miltā or-chhor dariyā kā
tū bhī aa ke sāhil par dekh zor dariyā kā
merā shor-e-ġharqābī ḳhatm ho gayā āḳhir
aur rah gayā baaqī sirf shor dariyā kā
mere jurm-e-sāda par tishnagī bhī hañstī hai
ek ghūñT paanī par maiñ huuñ chor dariyā kā
mor aur bhañvar donoñ mahv-e-raqs rahte haiñ
ye bhañvar hai jañgal kā vo hai mor dariyā kā
aaj to nahin milta or-chhor dariya ka
tu bhi aa ke sahil par dekh zor dariya ka
mera shor-e-gharqabi KHatm ho gaya aaKHir
aur rah gaya baqi sirf shor dariya ka
mere jurm-e-sada par tishnagi bhi hansti hai
ek ghunT pani par main hun chor dariya ka
mor aur bhanwar donon mahw-e-raqs rahte hain
ye bhanwar hai jangal ka wo hai mor dariya ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.