aaj aaine mein jo kuchh bhi nazar aata hai
aaj ā.īne meñ jo kuchh bhī nazar aatā hai
us ke hone pe yaqīñ bār-e-digar aatā hai
zehn o dil kartā huuñ jab ranj-e-jahāñ se ḳhālī
koī be-tarah mirī ruuh meñ dar aatā hai
guftugū karte hue jaate haiñ phūloñ ke giroh
aur chupke se daraḳhtoñ pe samar aatā hai
bach nikalne pe mire ḳhush nahīñ vo jān-e-bahār
koī ilzām mukarrar mire sar aatā hai
lauT jaane kī ijāzat nahīñ dūñgā us ko
koī ab mere ta'āqub meñ agar aatā hai
merī āñkheñ bhī mayassar nahīñ ātīñ mujh ko
jab mulāqāt ko vo ḳhvāb-e-sahar aatā hai
merī qismat hai ye āvāra-ḳhirāmī 'sājid'
dasht ko raah nikaltī hai na ghar aatā hai
aaj aaine mein jo kuchh bhi nazar aata hai
us ke hone pe yaqin bar-e-digar aata hai
zehn o dil karta hun jab ranj-e-jahan se KHali
koi be-tarah meri ruh mein dar aata hai
guftugu karte hue jate hain phulon ke giroh
aur chupke se daraKHton pe samar aata hai
bach nikalne pe mere KHush nahin wo jaan-e-bahaar
koi ilzam mukarrar mere sar aata hai
lauT jaane ki ijazat nahin dunga us ko
koi ab mere ta'aqub mein agar aata hai
meri aankhen bhi mayassar nahin aatin mujh ko
jab mulaqat ko wo KHwab-e-sahar aata hai
meri qismat hai ye aawara-KHirami 'sajid'
dasht ko rah nikalti hai na ghar aata hai
- Book : shab khuun (rekhta website)(31) (Pg. 27)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.