aaina tumhaare naqsh-e-pa ka
ā.īna tumhāre naqsh-e-pā kā
ḳhurshīd ko de sabaq jilā kā
o vasl meñ muñh chhupāne vaale
ye bhī koī vaqt hai hayā kā
jab aañkh khulī to be-ḳhudoñ se
parda thā jamāl-e-ḳhud-numā kā
dil aur vo but zahe muqaddar
zulm aur ye dil ġhazab ḳhudā kā
jā baiThe haiñ mujh se duur uTh kar
kyā paas kiyā hai iltijā kā
bole vo 'hasan' kā ḳhuun mal kar
kyā shoḳh hai rañg is hinā kā
aaina tumhaare naqsh-e-pa ka
KHurshid ko de sabaq jila ka
o wasl mein munh chhupane wale
ye bhi koi waqt hai haya ka
jab aankh khuli to be-KHudon se
parda tha jamal-e-KHud-numa ka
dil aur wo but zahe muqaddar
zulm aur ye dil ghazab KHuda ka
ja baiThe hain mujh se dur uTh kar
kya pas kiya hai iltija ka
bole wo 'hasan' ka KHun mal kar
kya shoKH hai rang is hina ka
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 130)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.