aah jo dil se nikali jaegi
aah jo dil se nikālī jā.egī
kyā samajhte ho ki ḳhālī jā.egī
is nazākat par ye shamshīr-e-jafā
aap se kyūñkar sambhālī jā.egī
kyā ġham-e-duniyā kā Dar mujh rind ko
aur ik botal chaḌhā lī jā.egī
shaiḳh kī dāvat meñ mai kā kaam kyā
ehtiyātan kuchh mañgā lī jā.egī
yād-e-abrū meñ hai 'akbar' mahv yuuñ
kab tirī ye kaj-ḳhayālī jā.egī
aah jo dil se nikali jaegi
kya samajhte ho ki KHali jaegi
is nazakat par ye shamshir-e-jafa
aap se kyunkar sambhaali jaegi
kya gham-e-duniya ka Dar mujh rind ko
aur ek botal chaDha li jaegi
shaiKH ki dawat mein mai ka kaam kya
ehtiyatan kuchh manga li jaegi
yaad-e-abru mein hai 'akbar' mahw yun
kab teri ye kaj-KHayali jaegi
- Book : Roomani Ghazlen (Pg. 64)
- Author : Samina Hijab
- Publication : Maktaba Jamia Limited, New Delhi (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.