aah ai sauda-e-KHam-e-arzu
aah ai saudā-e-ḳhām-e-ārzū
tā-ba-kai āḳhir nizām-e-ārzū
zabt-e-āh-e-dil-shikan aur maiñ hazīñ
kar rahā huuñ ehtirām-e-ārzū
hoshiyār ai infi.āl-e-kaif-zā
husn tak pahuñchā payām-e-ārzū
chashm-e-lutf-āgīñ na.e andāz se
le rahī hai intiqām-e-ārzū
ahl-e-dil zinda haiñ kis ummīd par
nazm-e-duniyā hai nizām-e-ārzū
yaas kī gunjā.isheñ kis dil meñ haiñ
le rahā hai kaun nām-e-ārzū
bazm-e-anjum jab sarāpā-gosh thī
kaash tum sunte payām-e-ārzū
aah ab ḳhuddārī-e-akbar kahāñ
ho ga.ī vo bhī ġhulām-e-ārzū
aah ai sauda-e-KHam-e-arzu
ta-ba-kai aaKHir nizam-e-arzu
zabt-e-ah-e-dil-shikan aur main hazin
kar raha hun ehtiram-e-arzu
hoshiyar ai infial-e-kaif-za
husn tak pahuncha payam-e-arzu
chashm-e-lutf-agin nae andaz se
le rahi hai intiqam-e-arzu
ahl-e-dil zinda hain kis ummid par
nazm-e-duniya hai nizam-e-arzu
yas ki gunjaishen kis dil mein hain
le raha hai kaun nam-e-arzu
bazm-e-anjum jab sarapa-gosh thi
kash tum sunte payam-e-arzu
aah ab KHuddari-e-akbar kahan
ho gai wo bhi ghulam-e-arzu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.