aagahi sud-o-ziyan ki koi mushkil bhi nahin
āgahī sūd-o-ziyāñ kī koī mushkil bhī nahīñ
hāsil-e-'umr magar 'umr kā hāsil bhī nahīñ
aañkh uThāo to hijābāt kā ik 'ālam hai
dil se dekho to koī raah meñ haa.il bhī nahīñ
dil to kyā jaañ se bhī inkār nahīñ hai lekin
dil hai badnām bahut phir tire qābil bhī nahīñ
uljhaneñ laakh sahī ziist meñ lekin yaaro
raunaq-e-bazm-e-jahāñ nazr-e-masā.il bhī nahīñ
tere dīvāne ḳhudā jaane kahāñ jā nikle
der se dasht meñ āvāz-e-salāsil bhī nahīñ
dard kī aañch banā detī hai dil ko iksīr
dard se dil hai agar dard nahīñ dil bhī nahīñ
ġhaur se dekho to ye ziist hai zaḳhmoñ kā chaman
aur 'jāved' ba-zāhir koī ghā.il bhī nahīñ
aagahi sud-o-ziyan ki koi mushkil bhi nahin
hasil-e-'umr magar 'umr ka hasil bhi nahin
aankh uThao to hijabaat ka ek 'alam hai
dil se dekho to koi rah mein hail bhi nahin
dil to kya jaan se bhi inkar nahin hai lekin
dil hai badnam bahut phir tere qabil bhi nahin
uljhanen lakh sahi zist mein lekin yaro
raunaq-e-bazm-e-jahan nazr-e-masail bhi nahin
tere diwane KHuda jaane kahan ja nikle
der se dasht mein aawaz-e-salasil bhi nahin
dard ki aanch bana deti hai dil ko iksir
dard se dil hai agar dard nahin dil bhi nahin
ghaur se dekho to ye zist hai zaKHmon ka chaman
aur 'jawed' ba-zahir koi ghail bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.